Kaun kahta hai ...?
Kaun kahta hai mohobbat ki zabaan hoti hai...?
Ehsaas dil me hote hain, baten nigahen bayan hoti hain.
Kaun kahta hai ke sarhadon ki zabaan hoti hai ?
Panchi, nadiyan paar karte hain, kalah to insaanon ki hoti hain.
Kaun kahta hai intazaar ki zabaan hoti hain ?
Dil me hi to rahte hain vo, chahe aankhe nigehbaan hoti hain.
Kaun kahta hai chand lamhon ki zabaan hoti hain ?
Lamhe to vo banate hain, zindagi ik pal ke samaan hoti hain.
Kaun kahta hai ke imtehaan ki zaban hoti hai ?
Na milen vo ek din to ghadi jaise imtehaan si hoti hain.
Kaun kahta hai ki rind ko khuda ki yaad nahin hoti hai ?
Har katre me Allah dikhe hain, sharab amrit ke saman hoti hai.
Vo kahte hai ke tanhayi ki zabaan hoti hai.
Tanha kar jate hain vo to jindagi na jane kahan khoti hai.