Tuesday, August 15, 2006

Mere watan !!!




















Eie Mere pyaare watan !!


Kya den tujhe aaj ek salaam ke sivay ?
Jab,
Tere din...teri vo raaten...vo pal pal ki saari baten...
Chin gayi humse vo aaj na jane kyun...?
Ab, Vo din hame yaad aate hain ...
Maan mandir me ... karwaan ek gubaar ab bhi mandraate hain ...























Vo garmiyon ki raaton me ...
Jab koyal geet sunaati thhi...
Vo barkha bahaar aati thhi...
Sab taraf hariyali chati thhi...

Maan mandir me ...malhaar ki dhun aur baadal mandraate hain ...
















Jis mitti me hum khele the...
Us mitti ki khushboo yaad aati hai ...
Palkon par aasoon aate hain ...
Tujhe yaad karke udasi chaati hai ...
Kya den tujhe aaj ek vaade ke sivay ?

Vaada hai ki, us mitti ke naam aaj jaan apni hum likhte hain ...










Vo Diwali ke diye...hame yaad aate hain ...
Vo Holi ke raag ...hame yaad aate hain ...
Vo Dashahre ke mele ..hame yaad aate hain ...
Vo basant ki hawayen ... hame yaad aati hain ...
Vo gehoon ke khet...hame yaad aate hain ...
Vo samandar ki ret ...hame yaad aati hain...
Kya den tujhe un duayon ke sivay ...?

























Teri samradhhi me kabhi kami na ho ...dua hum ye karte hain ...

Un sainaniyon ko hamara praNaam ...
Jinhone tere liye apne praN gavanye ...
Un ranveeron ko hamara praNam ....
Jinhone tujhe muqt karaya ....

Eie mere watan !!

Tujhe par aanch na aane denge... hum vachan aaj ye dete hain ...

0 Comments:

Post a Comment

<< Home