Tuesday, January 11, 2005

Desh Raag Hai Tujhko Samarpit

Following was composed after taking few words from a poem written by Prof Vishnu Dutt Rakesh.
It was performed during Diwali Night by a group of singers.


Desh Raag hai tujko samarpit tu hai mera desh mahan
Ganga-Yamuna ki paridhara karti tera gaurav gaan

tere charano me mera naman
Prano ka hai tujhe vachan
Desh raag se teri archana
DharaN karne yogya tu hi hai ek matra savita bhagavaan
Bhomandal par garimaman hai tera pavan sheesh mahan

Desh Raag hai tujko samarpit tu hai mera desh mahan
Ganga-Yamuna ki paridhara karti tera gaurav gaan

Vande mataram Vande mataram
Sa sa re ni dha pa, pa dha pa dha ma ga re,
malayaja sheetalaam...
Spatic sadrish hon vimal gyan se karta prerit budhdhi prakash
Vah agyaan timir ka nashak kare sumangal kare vikas

Desh Raag hai tujko samarpit tu hai mera desh mahan
Ganga-Yamuna ki paridhara karti tera gaurav gaan

Brahman Kshatrya vaishya harijan jan
karmashrit hain varna vibhajan
BHarat ma ke ek putra sab
BHarat maa ke ek putra sab ek hriday hai ek hi praN
Teri raksha me tatpar hain khade himalay veer javaan

Desh Raag hai tujko samarpit tu hai mera desh mahan
Ganga-Yamuna ki paridhara karti tera gaurav gaan

ni ni sa sa sa sa re re sa sa sa sa...
ni sa re sa ni sa re sa,
vande matram
vande matram

Desh Raag hai tujko samarpit tu hai mera desh mahan
Ganga-Yamuna ki paridhara karti tera gaurav gaan

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Chura le ! Dr. Vishnudutt Rakesh ke hi kaunse apne khud ke shabd hain ! Baba.

12:08 AM  

Post a Comment

<< Home